ek danish-e-nurani ek danish-e-burhani
hai danish-e-burhani hairat ki farawani
is paikar-e-KHaki mein ek shai hai so wo teri
mere liye mushkil hai is shai ki nigahbani
ab kya jo fughan meri pahunchi hai sitaron tak
tu ne hi sikhai thi mujh ko ye ghazal-KHwani
ho naqsh agar baatil takrar se kya hasil
kya tujh ko KHush aati hai aadam ki ye arzani
mujh ko to sikha di hai afrang ne zindiqi
is daur ke mulla hain kyun nang-e-musalmani
taqdir shikan quwwat baqi hai abhi is mein
nadan jise kahte hain taqdir ka zindani
tere bhi sanam-KHane mere bhi sanam-KHane
donon ke sanam KHaki donon ke sanam fani
Ghazal
Ek danish-e-nurani ek danish-e-burhani
Allama Iqbal