اردو हिंदी
Ek be-panah raat ka tanha jawab tha | Shaahi Shayari
ek be-panah raat ka tanha jawab tha

Ghazal

Ek be-panah raat ka tanha jawab tha

Yasmeen Hameed

;

ek be-panah raat ka tanha jawab tha
chhoTa sa ek diya jo sar-e-ehtisab tha

rasta mera tazad ki taswir ho gaya
dariya bhi bah raha tha jahan par sarab tha

wo waqt bhi ajib tha hairan kar gaya
wazeh tha zindagi ki tarah aur KHwab tha

pahle paDaw se hi use lauTna paDa
lambi masafaton se jise ijtinab tha

phir be-numu zamin thi aur KHushk the shajar
be-abr aasman ka chalan kaamyab tha

ek be-qayas baat se mansub ho gaya
phaila hua huruf mein jo iztirab tha

apni nigah par bhi karun e'tibar kya
kis man par kahun wo mera intiKHab tha