husn par zeba nahin ye lan-tarani aap ki
chaar din ki chandni hai naujawani aap ki
hum bhi kuchh munh se jo kah baiThen to phir kitni rahe
dekhiye achchhi nahin ye bad-zabani aap ki
kuchh samajh mein haal ye aata nahin hairan hun
aaj hai kaisi ye mujh par mehrbani aap ki
baz aae hum ye apna-ap chhalla lijiye
har kisi ke hath mein hai ab nishani aap ki
rah mein bhi dekh kar munh pher lete hain huzur
aaj kal hai kis qadar na-mehrbani aap ki
do ghaDi ek rang par qaem nahin husn-e-shabab
kya musawwir khinche taswir-e-jawani aap ki
aab-e-haiwan hai kahin zahr-e-halahal hai kahin
talKH-goi aap ki shirin-zabani aap ki
KHwab mein hum ko na aane dete to hum jaante
ki raqibon ne ye kaisi pasbani aap ki
apne marne ka nahin gham ranj hai is baat ka
aaj ungli se utarti hai nishani aap ki
haal-e-dil sunte nahin ye kah ke KHush kar dete hain
phir kabhi fursat mein sun lenge kahani aap ki
hum ko ye daulat kabhi milti to hum bhi jaante
hogi jis ke waste hogi jawani aap ki
Ghazal
Husn par zeba nahin ye lan-tarani aap ki
Lala Madhav Ram Jauhar