husn ko chand jawani ko kanwal kahte hain
un ki surat nazar aae to ghazal kahte hain
uf wo marmar se tarasha hua shaffaf badan
dekhne wale use taj-mahal kahte hain
wo tere husn ki qimat se nahin hain waqif
pankhuDi ko jo tere lab ka badal kahte hain
paD gai panw mein taqdir ki zanjir to kya
hum to us ko bhi teri zulf ka bal kahte hain
Ghazal
Husn ko chand jawani ko kanwal kahte hain
Qateel Shifai

