husn ke danke ki dhum jag mein paDi ja-ba-ja
kyun na baje dil mane ishq ki naubat sada
aashiq-e-be-jaan ne aaj dil sati ai ruh-baKHsh
tujh kun kaha dekh kar jaan baya marhaba
bulbul-e-shiraaz ne chhoD diya ishq-e-gul
ghuncha-dahan ko suna baat mein jab KHush-ada
sarw hua hai khaDa teri tawazoa katin
jab sin suna bagh mein qad ko tere dil-ruba
tera daras pane ko dauD kar aaya chakor
bujh tere chehre ko ghairat-e-badrudduja
shauq ka nazuk daraKHt KHushk hua dard sun
husn ke bustan mein tu chup se hua bewafa
bagh mein lala kahe dekh ke nargis taraf
chashm ka bimar ho kyunki khaDa be-asa
laf na mar ai raqib majlis-e-ushshaq mein
dil mane begana hai tujh sati wo aashna
phul gaya sungh main tere badan ki so bas
ho ke tere pas jab mujh kane aaya saba
bas-ki tere aane ki bagh mane thi KHabar
shauq se be-iKHtiyar gul ne kaha hal-ata
mauj-e-hawadis sati mujh kun nahin gham kabhi
kashti-e-hasti upar bas-ki tu hai naKHuda
tan tere munh se sun wajd kare tansen
pakDe apas kan kun jab wo sune kanhra
yaad sun teri jo dil KHali-o-ghafil hai nit
us dil-e-be-hosh ka nam hai bait-ul-KHala
kucha-e-sarbasta-e-zulf mein hairan howe
ishq-e-siyah-chashm ka jis ka howe rahnuma
aankh teri sahar ko phande mein de hiran kun
zulf teri pech sun dil ko dewe hai phansa
mujmar-e-sina mane kyun na jale jiyun sipand
dil kun lagi chaTpaTi jab se hua tun juda
ishq ke bimar kun kaam tabiban sun nain
wasl ki tabrid bin aur nahin hai dawa
haal mere dard ka puchh kabhi aan kar
lutf ke qanun se mujh kun milegi shifa
teri kamar dekh kar dang hain barik-bin
kyun na howe mu-ba-mu tujh pe fida 'mubtala'

Ghazal
Husn ke danke ki dhum jag mein paDi ja-ba-ja
Obaidullah Khan Mubtala