husn-e-be-parwa ko KHud-bin o KHud-ara kar diya
kya kiya main ne ki izhaar-e-tamanna kar diya
baDh gain tum se to mil kar aur bhi betabiyan
hum ye samjhe the ki ab dil ko shakeba kar diya
paDh ke tera KHat mere dil ki ajab haalat hui
iztirab-e-shauq ne ek hashr barpa kar diya
hum rahe yan tak teri KHidmat mein sargarm-e-niyaz
tujh ko aaKHir aashna-e-naz-e-beja kar diya
ab nahin dil ko kisi surat kisi pahlu qarar
us nigah-e-naz ne kya sehr aisa kar diya
ishq se tere baDhe kya kya dilon ke martabe
mehr zarron ko kiya qatron ko dariya kar diya
kyun na ho teri mohabbat se munawwar jaan o dil
shama jab raushan hui ghar mein ujala kar diya
teri mahfil se uThata ghair mujh ko kya majal
dekhta tha main ki tu ne bhi ishaara kar diya
sab ghalat kahte the lutf-e-yar ko wajh-e-sukun
dard-e-dil us ne to 'hasrat' aur duna kar diya
Ghazal
Husn-e-be-parwa ko KHud-bin o KHud-ara kar diya
Hasrat Mohani