husn achchha hai mohammad ka kamal achchha hai
jo KHuda ko bhi hai pyara wo jamal achchha hai
bazm-e-kaunain murattab hui teri KHatir
waqt hai tere liye is mein jo mal achchha hai
mujh se puchhe to koi tere ghulamon ka uruj
baadshahon se bhi rutbe mein bilal achchha hai
gham uThane ki hai aadat meri tab-e-sani
main to kahta hun ki duniya mein malal achchha hai
qissa-e-tur se waqif hai zamana sara
koi kis munh se kahe shauq-e-jamal achchha hai
bazm mein dekh ke hasrat se kisi ko chup hun
dar-haqiqat yahi andaz-e-sawal achchha hai
jis mein ek din bhi mayassar ho mulaqat ki raat
mere nazdik to wo mah wo sal achchha hai
lutf deta hai mujhe tera tasawwur shab-e-gham
sach kaha karte hain achchhon ka KHayal achchha hai
jab se dekhe hain tumhaare lab-o-abru hum ne
na kaha hai na kahenge ki hilal achchha hai
tujh se haT kar kahin paDti hi nahin meri nazar
yun to yusuf ka bhi hone ko jamal achchha hai
aashiqon ke liye kis kaam ka hai sabr-o-qarar
jo tere gham mein rahe muztarib haal achchha hai
us ne dekha hi nahin qamat-e-zeba tera
jo ye kahta ho ki gulshan mein nihaal achchha hai
phir wahi zikr hai arbab-e-karam ka 'rasiKH'
hum samajhte hain ye andaz-e-sawal achchha hai

Ghazal
Husn achchha hai mohammad ka kamal achchha hai
Mohammad Yusuf Rasikh