اردو हिंदी
Husn aankhon mein rahe dil mein jawani to rahe | Shaahi Shayari
husn aankhon mein rahe dil mein jawani to rahe

Ghazal

Husn aankhon mein rahe dil mein jawani to rahe

Jafar Shirazi

;

husn aankhon mein rahe dil mein jawani to rahe
zindagani tere hone ki nishani to rahe

us ki KHatir to gawara koi ban-bas bhi hai
sab ke honTon pe meri ram-kahani to rahe

zabt mein ye bhi hai goyai ka apna andaz
lab hon KHamosh magar ashk-fishani to rahe

gar ujalon se gurezan hai dhundlakon mein to aa
din ba-har-taur kaTa sham suhani to rahe

tu na shirin na main farhad magar yun to milen
hum rahen ya na rahen apni kahani to rahe

aao kuchh der karen pahle-pahal ki baaten
yaad is pyar ki wo rasm purani to rahe

teri aankhen to banen KHushk jazire 'jafar'
ye jo dariya hain to dariyaon mein pani to rahe