hue hain ja ke aashiq ab to hum us shoKH chanchal ke
sitamgar be-murawwat be-wafa be-rahm achpal ke
ghazalon ko teri aankhen se kuchh nisbat nahin hargiz
ki ye aahu hain shahri aur we wahshi hain jangal ke
giraftari hui hai dil ko mere be-tarah is se
ki aae pech mein kahte hi un ki zulf ke bal ke
ye daulat-mand agar shab ko nahin yaro to phir kya hai
ki hain ye chandni raaton ko bhi muhtaj mishal ke
tumhaare dard-e-sar se sandali-rango agar ji dun
tu chhape qabr par dena meri tum aa ke sandal ke
koi is ko kahe hai dam kui zanjir kui sumbul
hazaron nam hain kafir teri zulf-e-musalsal ke
bayaban ban hamein ulfat nahin hai shahr se hargiz
tarah majnun ke 'taban' hum to diwane hain jangal ke
Ghazal
Hue hain ja ke aashiq ab to hum us shoKH chanchal ke
Taban Abdul Hai