hudud-e-jalwa-e-kaun-o-makan mein rahte hain
na jaane ahl-e-nazar kis jahan mein rahte hain
hamein to mausam-e-gul ne hi kar diya ruswa
suna hai log salamat KHizan mein rahte hain
ayan hai un ke sitam se hamara zauq-e-niyaz
hum aag ban ke mizaj-e-butan mein rahte hain
kahan talash karegi hamein bahaar ki hum
kabhi qafas mein kabhi aashiyan mein rahte hain
wo raaz jin ka labon ne na ehtiram kiya
barahna ho ke dil-e-raaz-dan mein rahte hain
ghurur-e-hikmat-o-danish mein jhumne walo
kuchh ahl-e-dil bhi isi KHak-dan mein rahte hain
'qatil' arz-e-watan mein bhi hun main KHak-basar
mere nasib kahin aasman mein rahte hain
Ghazal
Hudud-e-jalwa-e-kaun-o-makan mein rahte hain
Qateel Shifai

