hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi
barham hui hai yun bhi tabiat kabhi kabhi
ai dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab
milti hai zindagi mein ye rahat kabhi kabhi
tere karam se ai alam-e-husn-afrin
dil ban gaya hai dost ki KHalwat kabhi kabhi
josh-e-junun mein dard ki tughyaniyon ke sath
ashkon mein Dhal gai teri surat kabhi kabhi
tere qarib rah ke bhi dil mutmain na tha
guzri hai mujh pe ye bhi qayamat kabhi kabhi
kuchh apna hosh tha na tumhaara KHayal tha
yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi
ai dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawajud
mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi
Ghazal
Hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi
Nasir Kazmi