hosh-o-shakeb-o-tab-o-sabr-o-qarar pancho
qurban kar chuka hun main tujh pe yar pancho
ek dard-e-hijr se bas ye panch aarize hain
be-hoshi be-qarari ghash tap buKHar pancho
mutrib pisar ke gham mein bhate hain kis ke dil ko
gori aiman alabba des aur malar pancho
iman-o-din-o-mal-o-dil aur naqd-e-jaan bhi
main kar chuka hun pyare tujh par nisar pancho
gar tu qasam bhi khae jhuTe hain mere pyare
paiman-o-ahd-o-wada qaul-o-qarar pancho
karte hain qatl-e-alam zalim ye uzw tere
mizhgan-o-chashm-o-abru zulf-o-azar pancho
kohsar-o-dasht-o-dariya gulzar-o-bazm-e-ishrat
hain KHar san nazar mein be-ru-e-yar pancho
is tarah mein ghazal ka likhna hai ghair-mumkin
ai 'sehr' koi bandhe go ab hazar pancho
Ghazal
Hosh-o-shakeb-o-tab-o-sabr-o-qarar pancho
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni