honTon pe mohabbat ke fasane nahin aate
sahil pe samundar ke KHazane nahin aate
palken bhi chamak uThti hain sone mein hamari
aankhon ko abhi KHwab chhupane nahin aate
dil ujDi hui ek sarae ki tarah hai
ab log yahan raat jagane nahin aate
yaro nae mausam ne ye ehsan kiye hain
ab yaad mujhe dard purane nahin aate
uDne do parindon ko abhi shoKH hawa mein
phir lauT ke bachpan ke zamane nahin aate
is shahr ke baadal teri zulfon ki tarah hain
ye aag lagate hain bujhane nahin aate
ahbab bhi ghairon ki ada sikh gae hain
aate hain magar dil ko dukhane nahin aate
Ghazal
HonTon pe mohabbat ke fasane nahin aate
Bashir Badr