ho sitam kaisa bhi ab haalat ki shamshir ka
waqt badlega kisi din ruKH meri taswir ka
jaan-lewa hai tumhaara be-niyazi ka chalan
hashr dekhe hi banega ab dil-e-dil-gir ka
baiThti hai kaun si karwaT ye bazi ishq ki
gardishon ke hath mein hai faisla taqdir ka
kaun bandhega meri bikhri hui ummid ko
khul raha hai ab to har halqa meri zanjir ka
lutf lete ho kaman se chhoD kar jis ko ab aap
kash koi mujh se puchhe kya hua us tir ka
reKHta se ishq 'azim'? wo bhi aise daur mein
dekhna kya haal hota hai teri tahrir ka
Ghazal
Ho sitam kaisa bhi ab haalat ki shamshir ka
Aazim Kohli