hindu hain but-parast musalman KHuda-parast
pujun main us kisi ko jo ho aashna-parast
is daur mein gai hai murawwat ki aankh phuT
madum hai jahan se chashm-e-haya-parast
dekha hai jab se rang-e-kafak tere panw mein
aatish ko chhoD gabr hue hain hina-parast
chahe ki aks-e-dost rahe tujh mein jalwa-gar
aaina-dar dil ko rakh apne safa-parast
aawargi se KHush hun main itna ki baad-e-marg
har zarra meri KHak ka hoga hawa-parast
KHak-e-fana ko ta-ki parastish tu kar sake
jun KHizr-e-mast khaiyo aab-e-baqa-parast
'sauda' se shaKHs ke tain aazurda kijiye
ai KHud-parast haif nahin tu hawa-parast

Ghazal
Hindu hain but-parast musalman KHuda-parast
Sauda Mohammad Rafi