hijr mein tere tasawwur ka sahaara hai bahut
raat andheri hi sahi phir bhi ujala hai bahut
mang kar meri ana ko nahin dariya bhi qubul
aur be-mang mayassar ho to qatra hai bahut
ye to sach hai ki shab-e-gham ko sanwara tum ne
chashm-e-tar ne bhi mera sath nibhaya hai bahut
baat karna to kuja us se taaruf bhi nahin
umr bhar jis ko har ek haal mein socha hai bahut
jaane kyun mujh se wo katra ke guzar jata hai
jis ne KHud mujh ko kabhi TuT ke chaha hai bahut
hum se fankar bhi is daur mein kam hi honge
hum ne duniya se tere gham ko chhupaya hai bahut
wo kahin mujh se taghaful ka sabab puchh na le
shan aaj us ne mujhe ghaur se dekha hai bahut

Ghazal
Hijr mein tere tasawwur ka sahaara hai bahut
Syeda Shan-e-Meraj