hijr ki shab nala-e-dil wo sada dene lage
sunne wale raat kaTne ki dua dene lage
aaiye haal-e-dil-e-majruh suniye dekhiye
kya kaha zaKHmon ne kyun Tanke sada dene lage
kis nazar se aap ne dekha dil-e-majruh ko
zaKHm jo kuchh bhar chale the phir hawa dene lage
sunne wale ro diye sun kar mariz-e-gham ka haal
dekhne wale taras kha kar dua dene lage
juz zamin-e-ku-e-jaanan kuchh nahin pesh-e-nigah
jis ka darwaza nazar aaya sada dene lage
baghban ne aag di jab aashiyane ko mere
jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage
muTThiyon mein KHak le kar dost aae waqt-e-dafn
zindagi bhar ki mohabbat ka sila dene lage
aaina ho jae mera ishq un ke husn ka
kya maza ho dard agar KHud hi dawa dene lage
sina-e-sozan mein 'saqib' ghuT raha hai wo dhuan
uf karun to aag duniya ki hawa dene lage
Ghazal
Hijr ki shab nala-e-dil wo sada dene lage
Saqib Lakhnavi