اردو हिंदी
Hijr ki be-tabiyan thin hasraton ka josh tha | Shaahi Shayari
hijr ki be-tabiyan thin hasraton ka josh tha

Ghazal

Hijr ki be-tabiyan thin hasraton ka josh tha

Mohammad Usmaan Arif

;

hijr ki be-tabiyan thin hasraton ka josh tha
husn ka aaghosh phir bhi husn ka aaghosh tha

hum to jis mahfil mein baiThe shaghl-e-naw-nosh tha
zindagi mein maut bhi aaegi kis ko hosh tha

zabt karte karte aaKHir phuT nikli dil ki baat
hans paDa gulshan mein jo bhi ghuncha-e-KHamosh tha

ehtiram-e-husn kahiye ya use rob-e-jamal
un ka parde se nikalna tha ki main behosh tha

mujh se puchho sarguzasht-e-mai-kada baada-kasho
tha kabhi mera bhi aalam main bhi baada-nosh tha

laghzishen meri musallam ibtida-e-ishq mein
aap ko bhi kuchh KHabar thi aap ko bhi hosh tha

ishq ka eajaz tha ye ishq ki tasir bhi
dil se jo nala nikalta tha sukun-e-gosh tha

koi kya samjha meri diwangi ko kya KHabar
aap ki nazron mein tha itna to mujh ko hosh tha

aaj tasbih-o-musallla le ke 'arif' ban gaya
kal jo ruh-e-mai-kada tha rind-o-baada-nosh tha