hijr karte ya koi wasl guzara karte
hum bahar-haal basar KHwab tumhaara karte
ek aisi bhi ghaDi ishq mein aai thi ki hum
KHak ko hath lagate to sitara karte
ab to mil jao hamein tum ki tumhaari KHatir
itni dur aa gae duniya se kinara karte
mehw-e-araish-e-ruKH hai wo qayamat sar-e-baam
aankh agar aaina hoti to nazara karte
ek chehre mein to mumkin nahin itne chehre
kis se karte jo koi ishq dobara karte
jab hai ye KHana-e-dil aap ki KHalwat ke liye
phir koi aae yahan kaise gawara karte
kaun rakhta hai andhere mein diya aankh mein KHwab
teri jaanib hi tere log ishaara karte
zarf-e-aina kahan aur tera husn kahan
hum tere chehre se aaina sanwara karte
Ghazal
Hijr karte ya koi wasl guzara karte
Obaidullah Aleem