hijr ek husn hai is husn mein rahna achchha
chashm-e-be-KHwab ko KHun-nab ka gahna achchha
koi tashbih ka KHurshid na talmih ka chand
sar-e-qirtas laga harf-e-barhana achchha
par utarne mein bhi ek surat-e-gharqabi hai
kashti-e-KHwab rah-e-mauj pe bahna achchha
yun nasheman nahin har roz uThae jate
usi gulshan mein usi Dal pe rahna achchha
be-dili shart-e-wafa Thahri hai mear to dekh
main bura aur mera ranj na sahna achchha
dhup us husn ki yak-lahza mayassar to hui
phir na ta-umr laga sae mein rahna achchha
dil jahan baat kare dil hi jahan baat sune
kar-e-dushwar hai us tarz mein kahna achchha
Ghazal
Hijr ek husn hai is husn mein rahna achchha
Akhtar Husain Jafri