hayat waqf-e-gham-e-rozgar kyun karte
main sochta hun ki wo mujh se pyar kyun karte
na meri rah mein tare na mere pas charagh
wo mere sath safar iKHtiyar kyun karte
nigah sirf bulawa nahin kuchh aur bhi hai
ye jaante to tera e'tibar kyun karte
gham-e-hayat mein hota agar na hath tera
to hum KHirad mein junun ko shumar kyun karte
koi to baat hai warna jafaon ke mare
tujhe bhula ke tera intizar kyun karte
'nazar' chaman mein agar waqai bahaar aati
to phul KHwahish-e-abr-e-bahaar kyun karte
Ghazal
Hayat waqf-e-gham-e-rozgar kyun karte
Zuhoor Nazar