hawas-nasib nazar ko kahin qarar nahin
main muntazir hun magar tera intizar nahin
hamin se rang-e-gulistan hamin se rang-e-bahaar
hamin ko nazm-e-gulistan pe iKHtiyar nahin
abhi na chheD mohabbat ke git ai mutrib
abhi hayat ka mahaul KHush-gawar nahin
tumhaare ahd-e-wafa ko main ahd kya samjhun
mujhe KHud apni mohabbat pe e'tibar nahin
na jaane kitne gile is mein muztarib hain nadim
wo ek dil jo kisi ka gila-guzar nahin
gurez ka nahin qail hayat se lekin
jo sach kahun ki mujhe maut nagawar nahin
ye kis maqam pe pahuncha diya zamane ne
ki ab hayat pe tera bhi iKHtiyar nahin
Ghazal
Hawas-nasib nazar ko kahin qarar nahin
Sahir Ludhianvi