hawa ne baadal se kya kaha hai
ki shahr jangal bana hua hai
jahan meri kashtiyan nahin thin
wahan bhi sailab aa gaya hai
umid aur KHauf nachte hain
wo nach-ghar hai makan kya hai
sab us ki baaten ghisi-piTi hain
magar wo paikar naya naya hai
wo ja chuka hai par us ka chehra
usi tarah mez par saja hai
sajili almariyon ke pichhe
nokile shishon ka silsila hai
jo sae ki samt ja rahe hain
wo main hun aur ek azhdaha hai
kalaf ke collar pahanne wala
ek aadmi qatl ho raha hai
mera badan jis ko chahta tha
kisi ne wo zahr pi liya hai
Ghazal
Hawa ne baadal se kya kaha hai
Rais Farogh

