hawa ki chadar-e-sad-chaak oDhe ja rahe hain
sawaro kis taraf munh-zor ghoDe ja rahe hain
hamein bhi yaad kar lena jab un par phul aaen
hum apna KHun paudon par nichoDe ja rahe hain
samar to kya shajar par koi patta bhi nahin hai
magar hum hain ki shaKHon ko jhinjhoDe ja rahe hain
ye kis subh-e-haqiqat mein khuli hai aankh meri
ki tere KHwab bhi ab sath chhoDe ja rahe hain
main kis dukh se akele dekhta jata hun un ko
faza mein panchhiyon ke chand joDe ja rahe hain
wo jis ki amn ki buniyaad par tamir ki thi
'amir' us shahr-e-jaan mein zulm toDe ja rahe hain

Ghazal
Hawa ki chadar-e-sad-chaak oDhe ja rahe hain
Raoof Ameer