hawa-e-sham na jaane kahan se aati hai
wahan gulab bahut hain jahan se aati hai
ye kis ka chehra damakta hai meri aankhon mein
ye kis ki yaad mujhe kahkashan se aati hai
isi falak se utarta hai ye andhera bhi
ye raushni bhi isi aasman se aati hai
ye kis ne KHak uDa di hai lala-zaron mein
zamin pe aisi tabahi kahan se aati hai
sada-e-girya jise ek main hi sunta hun
hujum-e-shahr tere darmiyan se aati hai
Ghazal
Hawa-e-sham na jaane kahan se aati hai
Obaid Siddiqi