poshak-e-siyah mein ruKH-e-jaanan nazar aaya
shab ko hamein KHurshid daraKHshan nazar aaya
dekha na kahin kufr na iman nazar aaya
hindu koi paya na musalman nazar aaya
malbus-e-siyah mein ruKH-e-jaanan nazar aaya
zulmat mein yan chashma-e-haiwan nazar aaya
baalon mein chhupa chehra-e-jaanan nazar aaya
parda mein yahan kufr ke iman nazar aaya
phir josh-e-junun silsila-e-jumba nazar aaya
phir be-sar-o-samani ka saman nazar aaya
pariyan jise kandhe pe uThati thin hamesha
barbaad wo aurang-e-sulaiman nazar aaya
bain-hama wusat bhi hai kya KHwan-e-falak-tang
aasuda na us ka koi mehman nazar aaya
aankhon ke tale phir gaya wo aahu-e-shahri
jangal mein jo aahu-e-bayaban nazar aaya
majma mein raqibon ke khula tha tera joDa
kal raat ajab KHwab-e-pareshan nazar aaya
jis dasht mein phuTe hain mere aabla-pa
koson wahi sarsabz-e-nistan nazar aaya
ta-sal-e-digar mai ki KHurd zinda ki mand
mah-e-ramzan saqi-e-dauran nazar aaya
diwana hun par kaam mein hoshiyar hun apne
yusuf ka KHayal aaya jo zindan nazar aaya
shoKH-e-mizha-e-bargashta ki dekhi nigah-e-qahr
aahu bhi mujhe sher-e-niystan nazar aaya
mayus phiri aati hain kyun meri duaen
kya bab-e-ijabat pe bhi darban nazar aaya
main zar-e-mah-e-nau hun ki us ne mujhe ai 'mehr'
jab ghaur se dekha to kaha han nazar aaya
Ghazal
Poshak-e-siyah mein ruKH-e-jaanan nazar aaya
Hatim Ali Mehr