haT jaen ab ye shams-o-qamar darmiyan se
meri zamin milegi gale aasman se
sine mein hain KHala ke wo mahfuz aaj bhi
jo harf ada hue hain hamari zaban se
wo mere hi qabile ka baghi na ho kahin
ek tir idhar ko aaya hai jis ki kaman se
sayyaad ne kiya hai usi ko asir-e-dam
tair jo dil-girafta raha hai uDan se
nakaamiyon ne aur baDhae hain hausle
guzra hun jab kabhi main kisi imtihan se
kahlae jis mein rah ke hamesha kiraya-dar
kya uns ho makin ko aise makan se
kyun pairwi pe un ki ho mail mera dimagh
'ghaalib' ke hun na 'mir' ke main KHandan se
'raghib' ba-ehtiyat hi lazim hai guftugu
dushman ko bhi gazand na pahunche zaban se

Ghazal
HaT jaen ab ye shams-o-qamar darmiyan se
Raghib Muradabadi