hasrat ai jaan shab-e-judai hai
muzhda ai dil ki maut aai hai
tujh se maghrur ki jhuki gardan
phir bhi ek shan-e-kibriyai hai
us ne talwar ko sambhaala hai
dekhiye kis ki maut aai hai
phir gaya jab se wo sanam ba-KHuda
hum se bargashta ek KHudai hai
baat sidhi bhi wo nahin karta
kaj-adai se kaj-adai hai
aap ko jaanta hai aaina
saf ye us ki KHud-numai hai
tum mere kaj-kulah ko dekho
ye bhala kis mein mirzai hai
dil mein aata hai rah-e-chashm se wo
KHub ye rah-e-ashnai hai
male hasrat se hath dekh ke hur
ai pari teri wo kalai hai
shana us ka hai panja-e-KHurshid
wah kya panja-e-hinai hai
zahido qudrat-e-KHuda dekho
but ko bhi dawa-e-KHudai hai
hath pahuncha na pa-e-qatil tak
taleon ki ye na-rasai hai
kabe jaane se mana karte hain
kya buton ke hi ghar KHudai hai
husn ne mulk-e-dil kiya taraj
hazrat-e-ishq ki duhai hai
munh hai 'goya' ka us ka bosa le
baat dushman ne ye banai hai
Ghazal
Hasrat ai jaan shab-e-judai hai
Goya Faqir Mohammad