hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi
na un ki dosti achchhi na un ki dushmani achchhi
zamana fasl-e-gul ka aur aaghaz-e-shabab apna
abhi se tu ne tauba ki bhi ai zahid kahi achchhi
jafa-dost us ko kahta hai koi koi wafa-dushman
hamare sath to us ne nibahi dosti achchhi
teri KHatir se zahid hum ne tauba aaj ki warna
ghaDi bhar gham ghalat karne ko bas wo chiz thi achchhi
ziyaada ai falak de ranj-o-rahat hum ko jo kuchh de
na do din ka ye gham achchha na do din ki KHushi achchhi
kabhi jab hath mal kar un se kahta hun ki be-bas hun
to wo hans kar ye kahte hain tumhaari bebasi achchhi
jo sach puchho hasinon ka haya ne rakh liya parda
nikal chalte gharon se ye to hoti dil-lagi achchhi
hum aaen aap mein ya-rab wo jis dam aaen baalin par
hujum-e-ranj-e-tanhai se hai ye be-KHudi achchhi
mohabbat ke maze se dil nahin hai aashna jis ka
na us ki zindagi achchhi na us ki maut hi achchhi
wo mai-kash hun ki de kar duni qimat sab ki sab le li
kisi se jab suna main ne ki bhaTTi mein khinchi achchhi
use duniya ki sau fikren hamein ek rang-e-nadari
kahin munim ki daulat se hamari muflisi achchhi
KHushi ke baad gham ka samna hona qayamat hai
jo gham ke baad hasil ho wo albatta KHushi achchhi
na chuTegi mohabbat ghair ki hum se na chuTegi
aji ye baat tum ne aaj to khul kar kahi achchhi
hamare dida-o-dil mein hazaron aib niklenge
tumhaara aaina achchha tumhaari aarasi achchhi
tere is jubba-o-dastar se rindon ko kya matlab
jise jo waza ho marghub ai zahid wahi achchhi
kahe sau sher tum ne sust to hasil 'hafiz' is ka
ghazal ho chust chhoTi si to baiton ki kami achchhi
Ghazal
Hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi
Hafeez Jaunpuri