hashr tak yan dil shakeba chahiye
kab milen dilbar se dekha chahiye
hai tajalli bhi naqab-e-ru-e-yar
us ko kin aankhon se dekha chahiye
ghair-mumkin hai na ho tasir-e-gham
haal-e-dil phir us ko likkha chahiye
hai dil-afgaron ki dildari zarur
gar nahin ulfat madara chahiye
hai kuchh ek baqi KHalish ummid ki
ye bhi miT jae to phir kya chahiye
doston ki bhi na ho parwa jise
be-niyazi us ki dekha chahiye
bha gae hain aap ke andaz o naz
kijiye ighmaz jitna chahiye
sheKH hai in ki nigah jadu bhari
sohbat-e-rindan se bachna chahiye
lag gai chup 'haali'-e-ranjur ko
haal is ka kis se puchha chahiye
Ghazal
Hashr tak yan dil shakeba chahiye
Altaf Hussain Hali