harf-e-taza nai KHushbu mein likha chahta hai
bab ek aur mohabbat ka khula chahta hai
ek lamhe ki tawajjoh nahin hasil us ki
aur ye dil ki use had se siwa chahta hai
ek hijab-e-tah-e-iqrar hai mane warna
gul ko malum hai kya dast-e-saba chahta hai
ret hi ret hai is dil mein musafir mere
aur ye sahra tera naqsh-e-kaf-e-pa chahta hai
yahi KHamoshi kai rang mein zahir hogi
aur kuchh roz ki wo shoKH khula chahta hai
raat ko man liya dil ne muqaddar lekin
raat ke hath pe ab koi diya chahta hai
tere paimane mein gardish nahin baqi saqi
aur teri bazm se ab koi uTha chahta hai
Ghazal
Harf-e-taza nai KHushbu mein likha chahta hai
Parveen Shakir