harf apne hi maani ki tarah hota hai
pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai
main bhi rukta hun magar reg-e-rawan ki surat
mera Thahrao rawani ki tarah hota hai
tere jate hi main shiknon se na bhar jaun kahin
kyun juda mujh se jawani ki tarah hota hai
jism thakta nahin chalne se ki wahshat ka safar
KHwab mein naql-e-makani ki tarah hota hai
chand Dhalta hai to us ka bhi mujhe dukh 'faisal'
kisi gum-gashta nishani ki tarah hota hai
Ghazal
Harf apne hi maani ki tarah hota hai
Faisal Ajmi