har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen
shabnam kabhi shoala kabhi tufan hain aankhen
aankhon se baDi koi taraazu nahin hoti
tulta hai bashar jis mein wo mizan hain aankhen
aankhen hi milati hain zamane mein dilon ko
anjaan hain hum tum agar anjaan hain aankhen
lab kuchh bhi kahen is se haqiqat nahin khulti
insan ke sach jhuT ki pahchan hain aankhen
aankhen na jhukin teri kisi ghair ke aage
duniya mein baDi chiz meri jaan! hain aankhen
Ghazal
Har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen
Sahir Ludhianvi