har taraf hadd-e-nazar tak silsila pani ka hai
kya kahen sahil se koi rabta pani ka hai
KHushk rut mein is jagah hum ne banaya tha makan
ye nahin malum tha ye rasta pani ka hai
aag si garmi agar tere badan mein hai to ho
dekh mere KHun mein bhi walwala pani ka hai
ek sohni hi nahin Dubi meri basti mein tu
har mohabbat ka muqaddar saneha pani ka hai
be-gunah bhi Dub jate hain gunahgaron ke sath
shahr ke qanun mein ye zabta pani ka hai
jaanta hun kyun tumhaare bagh mein khilte hain phul
baat mehnat ki nahin ye mojaza pani ka hai
ashk bahte bhi nahin 'asim' Thaharte bhi nahin
kya masafat hai ye kaisa qafila pani ka hai
Ghazal
Har taraf hadd-e-nazar tak silsila pani ka hai
Asim Wasti