har nala tere dard se ab aur hi kuchh hai
har naghma sar-e-bazm-e-tarab aur hi kuchh hai
arbab-e-wafa jaan bhi dene ko hain tayar
hasti ka magar husn-e-talab aur hi kuchh hai
ye kaam na le nala-o-faryaad-o-fughan se
aflak ulaT dene ka Dhab aur hi kuchh hai
ek silsila-e-raaz hai jina ki ho marna
jab aur hi kuchh tha magar ab aur hi kuchh hai
kuchh mehr-e-qayamat hai na kuchh nar-e-jahannam
hoshyar ki wo qahr-o-ghazab aur hi kuchh hai
mazhab ki KHarabi hai na aKHlaq ki pasti
duniya ke masaib ka sabab aur hi kuchh hai
behuda-sari sajde mein hai jaan khapana
aain-e-mohabbat mein adab aur hi kuchh hai
kya husn ke andaz-e-taghaful ki shikayat
paiman-e-wafa ishq ka jab aur hi kuchh hai
duniya ko jaga de jo adam ko bhi sula de
sunte hain ki wo roz wo shab aur hi kuchh hai
aankhon ne 'firaq' aaj na puchho jo dikhaya
jo kuchh nazar aata hai wo sab aur hi kuchh hai
Ghazal
Har nala tere dard se ab aur hi kuchh hai
Firaq Gorakhpuri