har lamha agar gurez-pa hai
tu kyun mere dil mein bas gaya hai
chilman mein gulab sambhal raha hai
ye tu hai ki shoKHi-e-saba hai
jhukti nazren bata rahi hain
mere liye tu bhi sochta hai
main tere kahe se chup hun lekin
chup bhi tu bayan-e-muddaa hai
har des ki apni apni boli
sahra ka sukut bhi sada hai
ek umr ke baad muskura kar
tu ne to mujhe rula diya hai
us waqt ka hisab kya dun
jo tere baghair kaT gaya hai
mazi ki sunaun kya kahani
lamha lamha guzar gaya hai
mat mang duaen jab mohabbat
tera mera muamla hai
ab tujh se jo rabt hai to itna
tera hi KHuda mera KHuda hai
rone ko ab ashk bhi nahin hain
ya ishq ko sabr aa gaya hai
ab kis ki talash mein hain jhonke
main ne to diya bujha diya hai
kuchh khel nahin hai ishq karna
ye zindagi bhar ka rat-jaga hai
Ghazal
Har lamha agar gurez-pa hai
Ahmad Nadeem Qasmi