اردو हिंदी
Har ek sans mein kuchh dard dard lagta hai | Shaahi Shayari
har ek sans mein kuchh dard dard lagta hai

Ghazal

Har ek sans mein kuchh dard dard lagta hai

Raj Kheti

;

har ek sans mein kuchh dard dard lagta hai
mera wajud hi ab gard gard lagta hai

tumhaare qurb mein garmi bahut ghazab ki thi
hawa ka hath magar sard sard lagta hai

na jaane aai kahan se bhikariyon ki ye bhiD
gadagar aaj mujhe fard fard lagta hai

usi mein dekhi thi taswir-e-kaenat kabhi
wo aaina ki jo ab gard gard lagta hai

wo ek hum the ki samjha harif ko bhi halif
fareb-kar tumhein fard fard lagta hai

kisi ke honTon ki surKHi ko kya hua hai 'raj'
ghazal ka chehra bhi kuchh zard zard lagta hai