har ghaDi umr-e-faromaya ki qimat mange 
mujh se aaina mera meri hi surat mange 
dur rah kar hi jo aankhon ko bhale lagte hain 
dil-e-diwana magar un ki hi qurbat mange 
puchhte kya ho in aankhon ki udasi ka sabab 
KHwab jo dekhe wo KHwabon ki haqiqat mange 
apne daman mein chhupa le mere ashkon ke charagh 
aur kya tujh se koi ai shab-e-furqat mange 
wo nigah kahti hai baiThe raho mahfil mein abhi 
dil ki aashuftagi uThne ki ijazat mange 
zahr pi kar bhi jiyun main ye alag baat magar 
zindagi us lab-e-rangin ki halawat mange 
zeb dete nahin ye turra-o-dastar mujhe 
meri shorida-sari sang-e-malamat mange
 
        Ghazal
Har ghaDi umr-e-faromaya ki qimat mange
Khalilur Rahman Azmi

