اردو हिंदी
Har-gam tajrabaat ke pahlu badal gae | Shaahi Shayari
har-gam tajrabaat ke pahlu badal gae

Ghazal

Har-gam tajrabaat ke pahlu badal gae

Karrar noori

;

har-gam tajrabaat ke pahlu badal gae
logon ko aazma ke hum aage nikal gae

hum ko to ek lamha KHushi ka na mil saka
kya log the jo zist ke sanche mein Dhal gae

kya kya taghayyuraat ne duniya dikhai hai
mahsus ye hua ki bas ab ke sambhal gae

hum zindagi ki jehd-e-musalsal ke waste
maujon ki tarah sina-e-tufan mein Dhal gae

jab bhi koi fareb diya ahl-e-dahr ne
hum ek nazar-shanas koi chaal chal gae

hawi hue fasane haqiqat pe is tarah
tariKH zindagi ke hawale badal gae

hum ne lachak na khai zamane ki zarb se
go hadsat-e-dahr ki rau mein kuchal gae

'nuri' kabhi jo yas ne Toka hamein kahin
hum daman-e-hayat pakaD kar machal gae