har ek shab yunhi dekhengi su-e-dar aankhen 
tujhe ganwa ke na soengi umr-bhar aankhen 
tulu-e-subh se pahle hi bujh na jaen kahin 
ye dasht-e-shab mein sitaron ki ham-safar aankhen 
sitam ye kam to nahin dil giraftagi ke liye 
main shahr bhar mein akela idhar-udhar aankhen 
shumar us ki saKHawat ka kya karen ki wo shaKHs 
charagh banTta phirta hai chhin kar aankhen 
main zaKHm zaKHm hua jab to mujh pe bhed khula 
ki pattharon ko samajhti rahin guhar aankhen 
main apne ashk sanbhaalunga kab talak 'mohsin' 
zamana sang-ba-kaf hai to shishagar aankhen
        Ghazal
Har ek shab yunhi dekhengi su-e-dar aankhen
Mohsin Naqvi

