har ek pal ki udasi ko jaanta hai to aa
mere wajud ko tu dil se manta hai to aa
wafa ke shahr mein ab log jhuT bolte hain
tu aa raha hai magar sach ko manta hai to aa
mere diye ne andhere se dosti kar li
mujhe tu apne ujale mein jaanta hai to aa
hayat sirf tere motiyon ka nam nahin
dilon ki bikhri hui KHak chhanta hai to aa
tu mere ganw ke hisse ki chhanw bhi le ja
magar badan pe kabhi dhup tanta hai to aa
Ghazal
Har ek pal ki udasi ko jaanta hai to aa
Ghulam Mohammad Qasir