har-chand meri quwwat-e-guftar hai mahbus
KHamosh magar tab-e-KHud-ara nahin hoti
mamura-e-ehsas mein hai hashr sa barpa
insan ki tazlil gawara nahin hoti
nalan hun main bedari-e-ehsas ke hathon
duniya mere afkar ki duniya nahin hoti
begana-sifat jada-e-manzil se guzar ja
har chiz saza-war-e-nazara nahin hoti
fitrat ki mashiyyat bhi baDi chiz hai lekin
fitrat kabhi be-bas ka sahaara nahin hoti
Ghazal
Har-chand meri quwwat-e-guftar hai mahbus
Sahir Ludhianvi