har-chand ki baat apni kab lutf se KHali hai
par yar na samjhen to ye baat nirali hai
aaghosh mein hai wo aur pahlu mera KHali hai
mashuq mera goya taswir-e-KHyali hai
kya Dar hai agar us ne dar se mujhe uThwaya
kahte hain taghayyuri mein aashiq ki bahaali hai
baalin pe jab aaya hai bimar ki tu apne
tab ruh ke qabiz ne jaan us ki nikali hai
main haal bayan apna karta hun ghazal kah ke
is waste ab mera jo sher hai haali hai
mehndi ke lagane mein phurti ye nahin dekhi
zalim ne hatheli par sarson si jama li hai
har-chand ki parwana jal jaane mein hai aandhi
par shama bhi aatish mein ji jhonkne wali hai
mani ne shabih us ki kya soch ke khinchi thi
mu-e-kamar us ke ki taswir KHayali hai
zahir hai ki jage ho tum raat kahin rah kar
aankhon mein nashe ki to kuchh thoDi si lali hai
maqdur magar kab tha qurban hain hum us ke
daman ki tere jis ne ye jhonk sambhaali hai
ai 'mushafi' hai tera itna jo suKHan chaspan
kya tu ne jawan darzan ghar mein koi Dali hai
Ghazal
Har-chand ki baat apni kab lutf se Khaali hai
Mushafi Ghulam Hamdani

