har chamakti qurbat mein ek fasla dekhun
kaun aane wala hai kis ka rasta dekhun
sham ka dhundlaka hai ya udas mamta hai
bhuli-bisri yaadon se phuTti dua dekhun
masjidon mein sajdon ki mishalen huin raushan
be-charagh galiyon mein khelta KHuda dekhun
lahr lahr pani mein Dubta hua suraj
kaun mujh mein dar aaya uTh ke aaina dekhun
lahlahate mausam mein tera zikr-e-shadabi
shaKH shaKH par tere nam ko hara dekhun
Ghazal
Har chamakti qurbat mein ek fasla dekhun
Nida Fazli