haqiqat-e-gham-e-ulfat chhupa raha hun main
shikasta-dil hun magar muskura raha hun main
kamal-e-hausla-e-dil dikha raha hun main
kisi se rasm-e-mohabbat baDha raha hun main
badal diya hai mohabbat ne un ka tarz-e-amal
ab un mein shan-e-takalluf si pa raha hun main
machal machal ke main kahta hun baiThiye to sahi
sambhal sambhal ke wo kahte hain ja raha hun main
suni hui si bas ek dhun zarur hai lekin
ye KHud KHabar nahin kya gunguna raha hun main
Ghazal
Haqiqat-e-gham-e-ulfat chhupa raha hun main
Shakeel Badayuni

