hansi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya
ye ek jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya
uTha to ja bhi chuka tha ajib mehman tha
sadaen de ke mujhe nind se jaga bhi gaya
ghazab hua jo andhere mein jal uThi bijli
badan kisi ka tilismat kuchh dikha bhi gaya
na aaya koi lab-e-baam sham Dhalne lagi
wufur-e-shauq se aankhon mein KHun aa bhi gaya
hawa thi gahri ghaTa thi hina ki KHushbu thi
ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya
chalo 'munir' chalen ab yahan rahen bhi to kya
wo sang-dil to yahan se kahin chala bhi gaya
Ghazal
Hansi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya
Muneer Niyazi