اردو हिंदी
Hangama-e-gham se tang aa kar izhaar-e-masarrat kar baiThe | Shaahi Shayari
hangama-e-gham se tang aa kar izhaar-e-masarrat kar baiThe

Ghazal

Hangama-e-gham se tang aa kar izhaar-e-masarrat kar baiThe

Shakeel Badayuni

;

hangama-e-gham se tang aa kar izhaar-e-masarrat kar baiThe
mashhur thi apni zinda-dili danista shararat kar baiThe

koshish to bahut ki hum ne magar paya na gham-e-hasti se mafar
virani-e-dil jab had se baDhi ghabra ke mohabbat kar baiThe

hasti ke talatum mein pinhan the aish o tarab ke dhaare bhi
afsos hami se bhul hui ashkon pe qanaat kar baiThe

zindan-e-jahan se ye nafrat ai hazrat-e-waiz kya kahna
allah ke aage bas na chala bandon se baghawat kar baiThe

gulchin ne to koshish kar Dali suni ho chaman ki har Dali
kanTon ne mubarak kaam kiya phulon ki hifazat kar baiThe

har chiz nahin hai markaz par ek zarra idhar ek zarra udhar
nafrat se na dekho dushman ko shayad wo mohabbat kar baiThe

allah to sab ki sunta hai jurat hai 'shakil' apni apni
'haali' ne zaban se uf bhi na ki 'iqbaal' shikayat kar baiThe