hangam-e-shab-o-roz mein uljha hua kyun hun
dariya hun to phir rah mein Thahra hua kyun hun
kyun meri jaDen ja ke zamin se nahin miltin
gamle ki tarah sahn mein rakkha hua kyun hun
is ghar ke makinon ka rawayya bhi to dekhun
tazin-e-dar-o-baam mein khoya hua kyun hun
girti nahin kyun mujh pe kisi zaKHm ki shabnam
main qafila-e-dard se bachhDa hua kyun hun
aankhon pe jo utra na hua dil pe jo tahrir
us KHwab ki tabir se sahma hua kyun hun
din bhar ke jhamelon se bacha laya tha KHud ko
sham aate hi 'ashfaq' main TuTa hua kyun hun
Ghazal
Hangam-e-shab-o-roz mein uljha hua kyun hun
Ashfaq Husain