hamein to aadat-e-zaKHm-e-safar hai kya kahiye
yahan pe rah-e-wafa muKHtasar hai kya kahiye
judaiyan to ye mana baDi qayaadat hain
rafaqaton mein bhi dukh kis qadar hai kya kahiye
hikayat-e-gham-e-duniya tawil thi kah di
hikayat-e-gham-e-dil muKHtasar hai kya kahiye
majal-e-did nahin hasrat-e-nazara sahi
ye silsila hi bahut mo'atabar hai kya kahiye

Ghazal
Hamein to aadat-e-zaKHm-e-safar hai kya kahiye
Zehra Nigaah