اردو हिंदी
Hamein na dekhiye hum gham ke mare jaise hain | Shaahi Shayari
hamein na dekhiye hum gham ke mare jaise hain

Ghazal

Hamein na dekhiye hum gham ke mare jaise hain

Ahmad Ata

;

hamein na dekhiye hum gham ke mare jaise hain
ki hum to waise hain us ke ishaare jaise hain

ye wasl, wasl ki mad mein ghalat shumar kiya
ki us ke sath bhi yunhi kinare jaise hain

tilism-e-chashm salamat rahe ki jis ke sabab
kahin hain phul kahin hum sitare jaise hain

wo jaanta hai jabhi dur bhagta hai bahut
wo jaanta hai hum us ko KHasare jaise hain

hum aaj hanste hue kuchh alag dikhai diye
ba-waqt-e-girya hum aise the, sare jaise hain

use kaho ki sitare shumar to na kare
kaho qadam dhare, chhoDe utare jaise hain

ye gham ke phul hain ya sher dekhiye aur bas
hamein pata hai ki hum ne nikhaare jaise hain